Words Forever |
| Posted: 26 Jun 2009 11:39 PM PDT Jo us say bat nahi hoti har bat adhori lagti hay Us kay bina toh ab apni zaat adhori lagti hay Us say batien kartey kartey sonay ki jo aadat thi Ab shab bhar neend nahi aati raat adhori lagti hay Us say kaho kay lot aaye sawan rut hay aaney ko Wo jo sath nahi hota barsat adhori lagti hay Hay dard, whashat, tanhai per khak nahi hay chehry par Jo pyar mein bakhshi hay us ne Khairat adhori lagti hay Daman ko bhigo kar ashkon se ya sajdon mein tanhai kay Gar uski khushyan na mangon Munajat adhori lagti hay Ik ilteja hay mairi ya Rab tu hosh salamat rakh jo dard milay madhoshi mein soghat adhori lagti hay |
| Hamesha muskura kay ansovon ko chhupaya Posted: 26 Jun 2009 11:36 PM PDT Hamesha muskura kay ansovon ko chhupaya gham ko chhupane ka yehi rasta nazar aya kis kis ko batain behte ashkon ka sabab k dard-e-dil dil mein kis ne jagaya hai mehfilon mein kahin bhi maza na raha rakha dil pey pathar to khud ko sajaya baat be baat apni aahein dabba kar yaaron k darmyan kis kadar muskuraya na thi chah mujhe kabhi munkashi ki jam wafa kissi bewafa ne pilaya kya muqadar se shikwa karte rahey jo kismet mein tha wohi kuch to paya yeh kis mour par aa gayein hain umeedein kaye saye manzil nazar mein na aya apnon ne palat k dekha tak nahin gairon ne akar galay se lagaya acha huwa k raaz khul hi gaya dil naazon pey khanjar kis kis ne chalaya shab-o-rooz chahat ka silah yehi hai madan dil k tukrey huway wo chun,ne na aya |
| You are subscribed to email updates from Words Forever To stop receiving these emails, you may unsubscribe now. | Email delivery powered by Google |
| Inbox too full? | |
| Google Inc., 20 West Kinzie, Chicago IL USA 60610 | |
0 comments: