Words for Ever |
| Posted: 11 May 2009 02:50 PM PDT Janat nazir hai meri Maa rehmat ki tasveer hai meri Maa mein aik khowab hoon zindagi ka jis ki tahbeer hai meri Maa Zindagi key Khatiin rasto mein Mashal-i-rah hai meri Maa merey her gham, her dard mein aik niya josh, walwala hai meri Maa Meri haar meri nakaami wabasta mujh sey hai meri jeet meri kamyaabi ka raaz hai meri Maa Chupa leti hai her zakham ko wo marham ki tarha Merey her dard her gham ki dawa hai meri maa Dunya mein nahein hai koi nehm-ul-badal uska Mamta mein hai mukamal faqat meri Maa |
| Posted: 11 May 2009 02:47 PM PDT Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhoop Main Jab Koi Saya Nahin Milta To Yaad Ati Hai Maa Piyaar Kehtey Hain Kisey aur Mamta Kya Cheez Hai Koi Un Bachon Say Pooche Jin Ki Marr Jati Hai Maa Deir Ho Jati Hai Ghar Ane Mein Aksar Jab Hamein Rait Par Machali Ho Jaisey Aisey Tarapti Hai Maa Martey Dum Jab Bacha Na Aye Agar Pardes Se To Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa Fikar Mein Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa Nowjawaan Hote Huway Bhi Bhuri Nazar Ati Hai Maa Samney Bachon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Mein Rat Ko Chup Chup Ke Ansoo Bahati Hai Maa Sal Bahr Main Ya Kabhi Hafte Main Jum-e-Rat Ko Zindagi Bhar Ka Sila Aik Faat-e-Haa Pati Hai Maa |
| Kitaab-e-Hasti Mein Wo Lafz "MAA" Hay Posted: 11 May 2009 02:44 PM PDT Hasool-e-Jannat Ki Rah Guzar Hay Zameen Pe Jo Us Ka Naqsh-e-Paaq Hay Tamaam Ankhon Mein Akas Us Ka Wo Chehra Cherhra Ik Aaina Hay Wo Azmaton Ka Hasool Bhi Hay Wo Kaamyaabi Ka Rassta Hay Samait Laita Hay Baazuon Mein Wo Qurbaton Ka Skaaon-e-Haal Hay Wo Shafqaton Ki Nazeer Hay Aesi Keh Us K Jaisa Koi Kahan Hay Jo Saaray Rishton Say Yaarwa Hay Kitaab-e-Hasti Mein Wo Lafz "MAA" Hay |
| Ab mere liye roz dua kon kare ga Posted: 11 May 2009 02:43 PM PDT Ab mere liye roz dua kon kare ga Yeh farz ada maan k siwa kon kare ga Chupke se mujhe chor k chal di yeh na socha Ab mujhe pe dil-o-jan fidaa kon kare gaa Dunya mein wafadar koi maa k siwa hain? Youn maa ki tarah mujh se wafa kon kare Baboo our mera laal kaha karti thi maa tu mujhe Qaaim teri mamta ki fiza kon kare gaa Karne ko mujhe kehti thi maa sabar hamesha Ab sabar ki talkeen sada kon kare gaa Har lamha rulati hain teri yaad maa mujhe ansoon ko mere khushk bata kon kare ga? |
| Mujhe Bas Ammi Se Hi Mila De Koi Posted: 11 May 2009 02:41 PM PDT Meri ammi ko bula de koi warna mujh ko hi sula de koi mujhe bistar ki to adaat hi nahin apni goadi mein hi jhulaa de koi shaid Aa jaye woh rona sun kar bewaja mujhe rola hi de koiii mein ne kaii rooz se nahin khaya us mohabbat se khila hi de koiii mujhe khwahish nahin k mile dunia mujhe bas ammi se hi mila de koi |
| Kaash kisi ki maien na martein Posted: 11 May 2009 02:52 PM PDT Mujhay raat gaye tak bahir rehnay per rokti rehti thi Mein us ki baatein sun kar hansi say uchaal deta tha Kal say jaldi aaon ga keh ker taal deta tha Woh mujhay dekh kar muskra deti thi Aur pyaar say chapat laga deti thi Mein usay bohat satata tha bohat nakhray dekhata tha Woh har baar meray naaz uthati thi Woh meray sadkay wari jati thi Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata Din raat us kay pyaar ki barsat hoti Us ki duyain hamesha merey saath hoti PER AB Zindagi mein woh baat nahi hai Kyu keh woh meray saath nahi hai Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai Ghar jab loton woh nigahain dhoondta hoon Sama jaon jin main woh bahain dhoondta hoon Un jaghoon ko dekhta rehta hon jahan beth kay woh mera intezar karti thi Main ghantoon apna chahra dekhta hoon jahan woh mujhay pyaar karti thi Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon Her kadam her rastay per thoker khata hon Tu lout aa keh mujhay abhi teri zaroorat hai Mein ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir woh lori suna de Ek arsa hua mein soya nahi Tu apni goud mein mujhey sula de Kaash kabhi aisi duyain na martein Kaash kisi ki maien na martein |
| Dard Hua To Dil Se Awaz Aye Maa Posted: 11 May 2009 02:31 PM PDT Dard hua to dil se awaz aye maa Takleef hue to yaad teri aye maa Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke Phir majhey tere achal ki yaad aye maa Main kitna badnaseeb hoon Logo se piyaar maanga maine Mile mujhey Tanhai Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya Aur main teri hi kadar na kar saka maa BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa Duniya ki ranginyon mein kohya raha bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha Jab Hosh mein aya To maloom hua ke koi apna nehi bus tere siwa maa Teri goad main sar rakh ke ro ro kemout-e-faryad ki dua ki Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki Main Kitna beaqal kamzarf hoon Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar saka maa Maine kitne dhuk diya Aur tuney uff tak na ki maa tuney kabhi na saath chora Na kabhi kuch kaha mujhey tuney maa bus ek khwab hai zindagi ka beshak kuch mile na mile main kuch bano ya na bano bus ek arman hai zindagi ka Main ek dafa teri goad main sar rakh sako maa woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa Bohat dard ho raha hai maa apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa |
| You are subscribed to email updates from Words Forever To stop receiving these emails, you may unsubscribe now. | Email delivery powered by Google |
| Inbox too full? | |
| If you prefer to unsubscribe via postal mail, write to: Words Forever, c/o Google, 20 W Kinzie, Chicago IL USA 60610 | |
0 comments: